ab puch

emiway bantai

pucha sawal maine khud se haan

kitne baar kya sab sahi kar raha hu

jo hona hai woh hokar rahega

to phir kahe ko dar raha hu

dheere dheere zimmedaari aane lagi

to maine dekh ki ab toh main khud se sudhar ra hu

dosti yaari mazemaari mein chadhne laga tha

ab main utar raha hu. badalna hai sab kuch

yeh thaan liya tha haan maine sach much

jo bhi kehte the kya tu kamayega

ye sab tu karke aaja beta ab puch

ab puch. ab puch. haan ab puchh mujhe main bolun ye shuruaat hai

gaana record ho rela hai aur ho rela raat hai

sab sale soche yeh kaise likh pa raha hai

itni sari baatein. mujhe kaafi daante gharwale

uske bina hum ye kabhi nahin kar paate

diss game mein mar dalte sab log ko tadpaake

studio mein kaafi din kaam kiya maza aara ghar aake

kar aankhein upar aaj ghum raha car mein

pehle leke scooter aas paas bahut shooter

udta kabutar haan maze liya maine bina fame ke bhi

laguri se leke saanp seedhi ludo game ke bhi

pehan ke bhi ghuma hun main shaktiman ke kapde

bachpan se ultar tha pagal se ladke pe bhadke

kuch log kyunki ladka ye khud ladke

baate kar ra chad ke upar toh sab sadke reh gaye

hum toh bas keh gaye baaki sab beh gaye

laalach mein paise ke kagaz mein

magaz mein lalach na kabhi main ghoosne diya

mehnat kiya maine jam ke aur

mujhe beta usne diya chappar faad ke

ab puch. ab puch. koyi ni puche jab tak unche na ho jao zindagi mein

kuch hai bas daulat hai fasele gandagi mein

aise soch waale khud ko pehle sahi jagah pe pahuncha le

dimaag inka sauchalay aisha soch socha nahin kabhi main

sabka bhala socha haan aage badha tabhi main

abhi main wahaan pe ni jahaan pe tha pehle

aayle sab yahan pe akele ko jayege akele

thakele na banke jeena hath pair hai khoon paseena

baha ke lado taqleefon se jaga ke dekho kitne log

taqleefon ke bhi wo sapno ke aur daude

killa rakhe thokte haan tode

izzat nahin kamaayega to nahin denge yeh

kayko fode kayko tode kisko kaye ko nichode

aisa koyi aayega kya jo insaano ko jode

mauka chhode tab jaake dimaag daude

aise kitne log hai jo jaag kar bhi so rahe

uth jao. ab puch. ab puch. insaan ke aankh mein khauf dekha

sach dekh ke karta andekha

sabne baith ke fun dekh apni bhalai pe

mann behka hai sabka

duniya khatam kabka ho chuka hai

log nahin sun rahe rab ka

sabko apni padi hai kon kisko de raha fatka

sirf maze laine mein bhatka zindagi mein hai atka

dimaag mein kachra bhara hai

lagale jhaadu katka kyun fokat ka

khane ki aadat hai insaano pe laanat hai

galat hote dekhne ki inki aadat hai

yahan soch bahut choti aur lambe imaarat hai

kale paise ko gora karne ko rakhte daawat hai

khulke baat karo mann ki baat

yahan beta sabko izjat hai khulke bol

ab puch. ab puch. pucha sawal maine khud se haan

kitne baar kya sab sahi kar raha hu

jo hona hai woh hokar rahega

to phir kahe ko dar raha hu

dheere dheere zimmedaari aane lagi

to maine dekh ki ab toh main khud se sudhar ra hu

dosti yaari mazemaari mein chadhne laga tha

ab main utar raha hu. badalna hai sab kuch

yeh thaan liya tha haan maine sach much

jo bhi kehte the kya tu kamayega

ye sab tu karke aaja beta ab puch

ab puch. ab puch. emiway bantai!

maloom hai na!

ha ha ha. peace out!