khatar patar zindagi ne raag hai sunaya
button khule kaaj se toh bakswa lagaya
khatar patar zindagi ne raag hai sunaya
button khule kaaj se toh baksawa lagaya
qismat phati chaadar toh hum bane
khatar patar zindagi ne raag hai sunaya
button khule kaaj se toh bakswa lagaya
qismat phati chaadar toh hum bane
barbaad din ne jo phenki yahaan
humne woh katran uthaayi hai
katran ka pola sa takiya banaa
uspe hi neendein chadhayi hai
jitne shutter humpe girte gaye
utne chatur hum bhi bante gaye
haan kilo ke bhaav humne hausla hai paaya
raat lambi naapne ko inch-tape laaya
gehlas huyi tang toh hum bane
baaton ko kadvi na dil pe liya
dhakka mila toh namaste diya
resham ki yaa saree sooti ki ho
sabko tasalli se pico kiya
sapne jo rakhe hain sambhal ke
geele na ho jaayein tirpal mein
aatma ko ek ek purze mein milaya
dekh lo machine ko bhi aadmi banaya
jebein jo udhdi hain toh hum bane
sui seedhi khadi naache dhaga
khatar patar zindagi ne raag hai sunaya
button khule kaaj se toh baksawa lagaya
qismat phati chaadar toh hum bane