mantoiyat

bollywood

raftaarrr. sawaal yeh hai ki

jo cheez jaisi hai

usey waise hi pesh kyu na kiya jaaye

main toh bus aapni kahaaniyon ko

ek aaina samjata hoon

jisme samaaj apne aapko dekh sake

aaina na dekhna chahe samaaj mera

puche mera kal na dekhte yeh aaj mera

khodate kharodate yeh meri galatiyan

main bhi chal diya

meri soch pe hai raj mera

kaan band

aankhe band

inke muh pe taale

inpe zor na ki satya pe prakash daale

bole sach jo uske cheere pe tezaab daale

ghume phir khule me

aur jaale jo wo nakaab daale

off off off hai

dimag sabka off hai

zamaana kya kahega

iska hi toh sabko khauff hai

daabke jeete hai

daabane ke yeh aadhi hai

sex nishedh hai toh itni kyu abaadi hai

log yeh hai aatma se khokhle

khud kare toh thik baaki. galat

dogale!

gaali de doon hindi mein toh

bole aisa kyun kiya

f**k kyun hai cool

jaane galat kyu hai ch***ya

kya iss tarah ke alfaz hame sadako pe sunayi nahi padte. manto ek insaan hai. mujh par ilzam hai. manto ek insaan hai

jaat mein yeh baatate hai

baat ke yeh kaatate hai

kaatne waale khat pe hai

inki mauj raat mein hai

laal batti wali gaddi

glass inke hath mein hai

rajneeti me hai chor

police inke sath mein

meri baate tumhe sach nahi lagti

sacchi baate tumko yara pach nahi sakti

mujhse na-samajh hain dugne meri age ke

ek pair kabar mein

yeh bhookhe hain dahej ke

betiyon ko maarte

betiyan naa paalte

betiyon pe dusro ki nazare gandi daalte

ladkiyan patake unko bandi bolte hai

aur jo raazi na ho unko saale r**di bolte hain

baap roz maa pe thos hath jo uthayega

bezuban bolne se pehle seekh jaayega

ki mard tab banega jab tu auratein daabayega

soch yeh rahi toh jaldi desh doob jaayega

main us society ki choli kya utaarunga

jo pehle se hi nangi hai

usey kapde pehnana mera kaam nahi hai

main kaali takti par safed chalk istamaal karta hoon

taaki kaali takti aur numaya ho jaaye

manto ek insaan hai

maine ghanto padha hai tumko manto

tumhare jaisa baanu kare mera maan toh

inn bando ko sach nahi dikhta

sattar saal azaadi ke sach aaj bhi nahi bikta

agar aap meri kahaaniyon ko

bardasht nahi kar sakte

toh iska matlab yeh hai

ki zamaana hi naqabil-e-bardasht hai